Saturday, 4 January 2014

Quote and Thoughts

1) Read slowly very imp msg


Ay insan

1.raat k andhere se darta hai Qabar se Q nahi?

2.Jannat me jana chahte ho Masjid me Q nahi?

3.Rishwat dete ho Ghareeb ko khana Q nahi?

4.Dunia ki kitabain padhte ho Quran Q nahi?

5.Gane gate ho Darood pak padhte Q nahi?

6.Dunyavi imtihan k liye sari raat jagty ho aakhrat k imtihan me paas hone k liye Q nahi? Fuzool sms roz Behjte ho ye sms Q nahi? 2) Allah ne Sood se roka,
Hum ne Bank bana liye. Allah ne Zinaa se roka,
Hum ne Club bana liye, Allah ne Pardy ka hukam diya,
Hum ne TV, DVD or Dish kharid k Be-Hayaai ko Aam kar diya, Allah ne kaha Quran me tumhari kamyabi hy,
Hum ne Oxford ki kitaabo ko kamyabi bana liya. Allah ne Jhot se roka,
Humne April fool manana shrun kr diya. Allah ne Burhapy mein Maa Baap ki khidmat karne ka Hukm diya,
Hum ne Old Home bana liye. Aaj Musalmaan is wajah se pareshan hai,
Jis ko Raazi kerna tha usko Naraaz kar diya to phir REHMAT kaisi? 3) Yeh sms 9 Logo Ko Send Kro Murad puri. hongi :
❌Yeh Msg 10 Logo Ko Send Kro Wrna 10 Saal K Liye Bad-Qismat Ho jaonge :

❌Kia Ab Qismat Ke Faisaly Mobile karenge?
❌5 Dino me Khush khbri Milengi ❌Jannat Mileng etc."❌❌❌ : ❌Kya Hum Apny DEEN Ko Itna Hi Janty Hen K Button press Karne Se
❌ Jannat Mil Jae Ya
❌Bad-Qismat Ho jae : ❌Pihr Namaz, Roza, Hajj,Zakat, Jihad Or Digar Amaal Kis Kam K? : Kya sms send krny sy Murad Pori Hogi? : To ALLAH Paak K Samny Rona, Hath Phelana Kis Kam Ka? : Or Ye Sms Zyada Se Zyada Logon Ko Frwd Kren Taky Yeh fitna khtm ho.  
❌AISA MSG AAYE TO PEHLE DELETE KRO ......JazakAllah


4) Agar dhyaan se socha jae to Pareshani to Har jagah hai ya har jagah se Aaksti hai..

Hamare family members mai se koi bimaar hai to Pareshani aae gi... Hamare khuwaab unko 

poora krne ki fikar mai pareshani aae gi....Drr rahe ga agar mujhey khuch hogaya to mere 

khuwaab ka kya hoga......jaise kisi baap ko yeh drr rehta hai agar usse khuch hogaya to uske 

baccho ka kya hoga...Koi gareeb hai to usko pareshani...Koi ameer hai to  usko   

pareshani...Agar gor se socha jae to ham pareshaniyo k baare mai sooch Sooch kar 

pareshaan hojae gai...ISLIA SIRF AUR SIRF ALLAH PAR BHROSA RKHNA CAHIYE..BURI 

AUR ACCHI KISMAT ALLAH KI TARAF SE HOTI HAI,ROZI ROTI SAB ALLAH KI TARAF 

se HOTA HAI AUR WOH AISI AISI JAGAHO SE RIZQ DETA HAI JAHA SE INSAAN SOOCH 

BHI NAHI SKTA...MAUT KA WAQT FIXED TO PHIRR KYA TENSION... SIRF YEH KAHO 

HAM  ALLAH K BANDE HAI AUR ALLAH K PAAS HAMEI WAPIS JANA HAI..QURAN MAI 

BILKUL SAHIH LIKHA HAI INSAAAN KHASARE MAI HAI....  ALLAH HAM SBB KO USS 

KHASARE  SE NIKALNE KI TAUFEEQ ATA FARMAE AMEEN

Series of Hadith Part 1

1)

Ibn Abbas radi allaho anhuma se rivayat hai ki ek shaksh maidan Arafat mein tha ki apni 

sawari se gir parha aur mar gaya (ya sawari ne unhey kuchal diya ) Nabee Sallallaho  

alaihey wasallam ne farmaya pani aur beri ke patton se usey ghusal do aur Do kapdo mein 

unhey kafan do aur farmaya ki inhey khushbu na lagao aur na inka sir chupao kyunki ye  

Qayamat ke  din Labbaik kahta hua utheyga.

{Sahih Bukhari, Vol 2, 1265}
2) Hazrat Abu Hurairah (RadiALLAHU Anhu) RasulALLAH (Sallallahu 

Alaihe Wasallam) se riwayat karte hain ki Aap ne irshaad farmaya : Agar 

MOMIN ko us sazaa ka sahi ilm ho jaye jo ALLAH TAALA k yahan Na-farmaano 

k liye hai, to uski jannat ki koi ummeed na rakhe, Aur agar   kaafir ko ALLAH 

TA ALA ki rehmat ka sahi ilm ho jaaye, Jo ALLAH TA ALA k yahan hai, to uski 

jannat se koi na- ummeed na ho. 

{Muslim : 6979}

3)Hazrat Samura b. Jundub Razi Allahu Anhu se riwayat hai k RasoolAllah 

Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Allah k Nazdeek sab se zyada Mahboob 

Kalimat chaar    (4) hain: Subhan Allah (Allah paak hai), Al-Hamdulillah 

(Tareef sirf Allah k liye hai), La ilaha illa- Allah (Allah k Siwa koi Ma’bood 

Nahi), Allahu Akbar (Allah sab se Bada hai), Aap in mein se jis se bhi Aagaz 

karlen koi harj Nahi. 
   
   [Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Hadith 5601]


4) "Jo Apnay Bhai Ki Gair Mowjoodgi Mein Uskay Liye Dua Maangta Hy Wo 

Qabool Hoti Hay Aur Uskay Kareeb Aik Farishtah Khara Hota Hay Jo Kehta Hy 

"Aay ALLAH! Usko Bhi Wo Ataa Kar Jo Yeh Apnay Bhai Ky Liye Maang Raha 

Hay.

"(Sahih Muslim: 2733)


5) Hazrat Umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki Nabee Sallallahu Alaihi 

wasallam ne farmaya mujhe mere martabey se jiyada na badao jaisey Esa ibn 

mariyam Alaihi salam ko nasara (Christian) ne inkey martabey se jiyada bada 

diya hai main to sirf Allah ka banda hun isliye yahi kaha karo ki Main Allah ka 

banda hun aur uska Rasool hun.

Sahih Bukhari, 3445


6)Hazrat Jabir(razi Allahu anhu) se rewayat hai ke Rasullah sallallahu Alyhi 

wassallam ka guzar bakri ke ek boche (yani bin kaan wale ya chhote kan 

wale) murda bachche per hua,jo raaste me mara pada tha.us waqt 

Aap(sallallahu Alyhi wassallam) ke saath jo log the unse Aap ne farmaya - '' 

Tum me se koi is mare hue bachche ko sirf ek Dirham me kharidna pasand 

karega? unhone arz kiya hum to ise kisi kimat per bhi kharidna pasand nahi 

karenge. Aap (sallallahu Alyhi wassallam) ne farmaya '' Qasam hai Khuda ki 

ke duniya Allah ki nazar me isse zyada zaleel or beqeemat hai jitna zaleel or 

beqeemat tumhare nazdeek ye murdaar bachcha hai'' 

[Muslim]


7)Qatadah bin nu'maan se rewayat hai ke Rasulah Sallallahu Alyhi 

wassallam ne farmaya '' Jab Allah ta'ala kisi bandah se muhabbat karta hai to 

duniya se isko is tarah parhez karata hai jis tarah ke tum me se koi apne 

mareez ko paani se parhez karata hai(jabke usko paani se nuksaan pahuchta 

ho) ''

[Tirmizi]


8) Hazrat Abdullah bin umar (Razi Allahu anhu) se rewayat hai ke Rasullah 

Sallallahu Alyhi wassallam ne mere dono mondhey (shoulder) pakad ke 

mujhse irshaad farmaya - ''Duniya me aise rah jaise ke tu pardesi hai,ya 

raasta chalta musafir ''

[Sahih bukhari]


9)Hazrat abu huraira r.a se riwayat hai rasool lullah sallau aly wasallam ne 

farmaya Mere misaal us shaksh ki si hai jisne aag jalai ' jub us ke gird roshni 

hoi to us me kide our ye janwar jo aag me hai girne lage our wo shaksh

unko rokne 
laga lekin wo na roke usme girne lage_ YE MISAL HAI MERI OUR 

TUMHARI 'Me tumhari kamar pakad kar jahnnam se rokta hu our kahta hu 

jahnnam k pas se chale aau our tum nahi mante usi me guse jate ho'

(sahi muslim jild 6 hadis num:5957~5955~5958)

Dusre Alfaaz mai  Jaise kisi ne aag jalai phir usme kide our patange girne 

lage our me  pakde hue hu tumhari kamro ko our tum betal andha dhan usme 

gir padte ho)  ~muslim 5955~

AQEEDA

Tawheed...

1)Allah apni zaat aur sifaat mai akela hai.


2)Allah sab ka rab hai.


3)Allah apne arsh par hai jaisa uss ki shaan ko layaq 

hai.

4)Allah apne arsh par hai lyken Uska ilm aur Qudrat 

poori kainaat ko ghere 

hue hai.

5)Allah ki koi misaal nahi,Woh be misaal hai.


6)Allah ka koi paalne wala nahi Allah sab ko paalta 

hai.


7)Allah khaliq hai baqi sab makhlooq hai.

8)Allah ghani hai aur sab uss k mohtaaj hai.

9)Allah k siwa koi aisi hasti nahi jiss k aage sir 

jhukaya jae.

10)Allah k siwa koi aisi hasti nahi jiss ki ibadat ki jae 

ya jiss se dua ki jae.

11)Allah k siwa koi aisi hasti nahi jis ko madad k lia 

pukara jae.

Jaan lo saari ibadatein sirf Allah k lia hai..aur 


Allah apne bando k lia kafi hai....

------------------------------------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------------------------------



Woh amal aur aqeede jinn ko krne se islam se 


Alag hojate hai. Part 1

1)Ibadat mai shirk


Shirk ki maafi nahi hai aur Insaan ko islam se bilkul alag krr deti hai...

Quran:- Jiss ne Allah k saath kisi ko shareek banaya uss par Allah ne jannat haraam krdi aur uss ka theekana jehnam hai aur aise Zalimo ka koi madad gaar nahi.(surah maidah aayat 72)

Mtlb:- sirf Allah khaliq hai,sirf Allah mushkil door krne wala hai...Aaadmi ko yeh aqeede rkhna cahiye ...


2)Allah tk phochne k lia kisi dusre aadmi ya kisi aur cheez ki ibadat krna aur uss ka waseela lena

Mtlb yeh sooch na k Allah hamari nahi sunta...Jab k Allah ne kaha hai k sirf ussi se maango mtlb yeh hua k bina kisi k waseele se kynki Allah aur bande k beech koi rukawat nahi hai...Allah gufoor aur rehman hai ..aur duae qabool krne wala hai..

Quran:-khabardaar deen aur ibadat sirf Allah ki hai...rahe woh log jinhone uss k siwa dusre wali pakadh rkkhe hai(aur kehte hai) ham to unn ki ibadat sirf islia krte hai k woh hamein Allah k qareeb krde.. Yaqeennan Allah unn k beech unn sari baato ka faisla krde ga jinn mai woh ikhtilaaf krr rahe hai..Allah kisi aise shaks ko hidayat nahi deta jo jhota aur haq ka inkaar krne wala ho(surah al zumar aayat 3)


Mtlb- Allah ko kisi k waseele ki koi zarorat nahi hai...sirf Allah ki ibadat kro aur sirf ussi se madad mango yehi momin ka waseela hai..

3)Mushriko ko kafir na smjhna aur unn k kufur mai shakk krna

Mtlb jo mushriqeen ko kafir na smjhe aur unn k kafir hone mai shakk krne lage aur unn k mazhab ko accha smjhne lage aisa shaks bhi kafir hojata hai..

Quran:-ham alag hue tum se aur jinn maaboodo ko tum poojte ho unn se bhi,kufur kiya hamne tmse,Aur khuli ho chuki hamare aur tumhare darmiyaan dhusmani ,Jab tk k Allah ko akela mabood na maan lo..(Quran ch 60 aayat 4)


4)kisi dusri shariyat ko Allah ki shariyat aur hukum se badha maanna

Mtlb Quran aur hadith se best koi law nahi hai... Aur agar koi Quran aur hadith k law ko best na manne aisa shaks kafir hojata hai.

Quran:- yeh isss lia k inhone uss cheez ko na pasand kiya jisse Allah ne nazil kya hai tab allah ne unka sab kiya karaya bekaar krdiya..(Surah muhammad aayat 9)

Mtlb:- Allah ki shariyat se pyaar hona cahiye aur usko dil se haq maanna cahiye...

5)Muhammad(pbuh) ki shariyat ki kisi cheez ko na pasand krna

Mtlb:-dil aur dimaag se iss baat ko maanna k Quran aur hadith hee asal ilm hai jo Allah k qareeb krte hai...Aur Quran aur hadith ki har baat haq wali hai aur usse better koi law nahi hai aur ussi mai insaan ki behtari hai.

Quran:- to Qasam hai tere parwadigaar ki! Yeh momin nahi ho skte,jab tk k aapas k ikhtilaaf mai aap ka hukum na maanle,phir jo faisla aap unn mai krr dein unn se apne dil mai kisi bhi tarah ki kami aur na khushi na pae aur farma bardari k saath qabool krle..(surah al nisa aayat 65)


Woh amal aur aqeede jinn ko krne se islam se alag hojate hai.. part 2

6)Deen islam ki kisi bhi baat ka mazaaq udhana..

Jo rasool (pbuh) k lae hue deen ki kisi baat ya unn k batae hue sawaab ya azaaab ka mazaaaq udhae woh kafir hojata hai...

Quran:- kaho kya tum Allah aur uss ki aayato aur usss k rasool ka mazaaq udhate ho,bahane mt banao tum imaan lane k baad kafir ho chuke ho (Quran 9:66)

Mtlb:- kisi ki namaaz aur dusri ibadat ka mazaaq udhana ...yeh sabb kufur hai....

7)jadu ka amal krna ya krwana...

Jadu mai mohabbat k mantar bhi aate hai aur kisi ki mohabbat se dil pherne k bhi,to jo yeh kaam kre aur uss par razi ho woh kafir hojata hai..

Quran:- haala k woh(farishtey) jb bhi kisi ko usss ki taleem dete the to pehle saaf tor par kehdiya krte the k dekh ham to sirf ek aazmaish hai tu kufur mai shamil na hona..(surah baqrah aayat 102)

Hadith:-Abdullah bin abbas(r.a) se riwayat hai k rasool(pbuh) ne farmaya: jo aadmi najomi(future dekhne wala) ka kaha hua maanta hai woh asal mai jadu ka ek shakal akhtiyaar krta hai...(Abu dawud sahih hadith)

8)Muslim ko chodh kar kafiro ki madad krna 

Mtlb jo kafiro k saath milkar muslim k khilaaf hojae aisa shaks islam k andar nahi hota...

Quran:- Aur agar tum mai se koi unn ko apna sathi banata hai to unn ka shimaar bhi unn hee mai hai yaqeennan Allah zalimo ko apni rehnumae se dur krdeta hai (Surah maidah aayaT 51)


9)Muhammad(pbuh) ki shariyat ko kisi dusri shariyat se kam smjhna

Mtlb Koi agar yeh kahe k Quran aur hadith mai khuch kami hai ya kisi dusre mazhab mai zada accha ilm hai to aisa maanne wale kafir hojate hai..

Quran:-iss islam k siwa jo shaks koi aur tareeka akhtiyaar krna cahe uska woh tareeqa har gizz qabool nahi kiya jae ga aur aakhriat mai woh nakaam aur na muraad rahe ga(Surah al imran 85)

10)Deeen ki taraf thodha sa bhi dhyaan na dena

Agar Insaan Allah k deen ki taraf bilkul dhyaan ne de,mtlb naa hee uska ilm leta ho na hee uss par amal krta ho...aisa insaan islam se bahar hojata hai...

Quran:- aur uss shaks se badha zalim kaun hoga jisse uss k Rabb ki aayaat k zariye se nasihat ki jae aur phir woh unn se muh pherle aise mujrimo se to ham badla le kar rahengai..(Surah sajda aayat 22)

Mtlb:-Agar kisi insaan ki be deni iss drje tk phoch jae k woh deen ka zara sa bhi ilm na hasil kre aur na khbhi deen ki kisi baat par amal kre aur na khbhi uss k dil mai zara sa bhi khayaal aaya ho k woh deen par amal kre aur na hee khbbi Zindagi k maslo mai Muhammad(pbuh) se hidayat lene ki zara si bhi zarorat jani ho to aisa insaan islam se bahar hojata hai..


----------------------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------------------
La ilaha ki sharte 
1)Allah k ilawa koi ibadat k layaq nahi hai iss baat ka ilm hona.

Daleel:- To jaan rkkho k Allah k siwa koi ibadat k haq k layaq nahi(Quran 19:47)

2)la ilaha ka dil se poora yaqeen hona aur uss par shakk nahi krna..Aur shakk tbhi nahi hoga jab ilm hoga..aur ilm Quran aur hadith padh kar hoga.

Daleel:- momin to bass wohi hai,jo Allah aur uske rasool par imaan laae ,phirr shakk mai nahi padhe aur jinhone apne maal aur apni jaan se Allah ki raah mai jihad kiya.
(Quran 15:49)


3)ikhlaas hona mtlb k ibadat ki tamaam qisme sirf aur sirf Allah k lia krr di jae..

Daleel:- aur unn ko iss k siwa koi hukum nahi diya gaya tha k Allah ki bandagi kre aur apne deen ko uss k lia khaliss karr k .. (Quran 5:49)

4)sacche dil se maanna mtlb lailaha ilallah wala apne qol mai saccha ho

Daleel:- Allah ko to zaroor dekhna hai k kaun sacche hai aur kaun jhoote(Quran 3:29)

5)Allah aur uske rasool se sacchi mohabbat mtlb jo la ilaha illalah padhta hai usko allah aur rasool se zada kisi aur se mohabbat nahi krna cahiye.

Daleel:- Aur logo mai aise log bhi hai jo Allah k shareek banate hai jinn se woh iss tarah Mohabbat krte hai jiss tarah Allah se mohabbat krni cahiye,lyken jo Allah par imaan rkhtey hai,Woh sab se zada Allah se mohabbat rkhne wale hote hai(Quran 145:2)

6)Allah k hukum maana means jiss ne la ilaha ilallah padha hai woh sirf Allah ki ibadat kre,uski shariyat ki pabandi kre..aur us ko barhaq maane..

Daleel:- Aur ruku kro apne rabb ki taraf aur uss k farma bardaar banjau..(Quran 54:39)

7)Allah ki ibadat qabool krna means saari ibadat sirf Allah k lia khaas krr di jae 

DALEEL :- UNN K HAAL YEH THA K JABB UNN SE KAHA JATA HAI K ALLAH K SIWA KOI IBADAT K LAYAQ HAQ WALA NAHI HAI,TO YEH Ghamand mai aajate hai aur kehte hai,"Kya ham ek shayar deewana k kehne se apne maboodo ko chodh de.(Quran 35-36:37)

8)Taghoot ki ibadat ka inkaar means Allah k siwa har cheeZ ki ibadat ka inkaar kiya jae aur uss k galat hone ka yaqeen rkkha jae.

Daleel:- jo koi taghoot ka inkaar kr k Allah par imaan le aaya,Usne ek mazboor sahara thaam liya(Quran 256:2)


---------------------------------------------------------------------------------------------------------
--------------------------------------------------------------------------------------------------------

1)Nafa nuqsaan kisi k akhityaar mai nahi hai siwae Allah k :- 

nabi(Pbuh)aaap keh dein  k mai tumhare nafa aur nuqsaan k baare mai  

khuch Akhtiyaar  nahi rkhta..( Quran)


2)Ham par kiss ka fazal hai:- Yeh Sab mere Rab ka fazal hai(Quran)


3)Dua kaun Qabool krta hai :- Aur farmaya tumhare Rabb ne!Mujhey 

pukaro mai tmhari duae Qabool krunga.(Quran)



4)kaun dilo ka haal jaanta hai:- Aur Allah dilo ka haal jaane hai.(Quran)


5)kaun izzat aur zillat deta hai:- Aur Allah jisse cahata hai izzat deta hai 

aur jisse cahata hai zillat deta hai.(Quran)



6)Allah k siwa kisi ko khuch akhtiyaar nahi hai :- Aur jinhe tum Allah k  

siwa pukarte ho Woh khajoor ki ghutli k  rayshay jitna bhi akhtiyaar nahi 


rkhtey.. (Quran)



7)Allah asal tareef k layaq hai :- A logo ! Tm sab Allah k dar k faqeer ho 

aur  Allah woh be niyaaz aur tareef k layaq hai..(Quran)



8)Musibat mai daalne wala aur kheir dene wala kaun hai :-Aur Allah agar 

tumhe musibat mai daal de to kaun hai jo tmhe uss musibat se nikaal de 


Aur agar woh tumhe kheir se nawaazna cahe to woh har cheez par 


Qadir hai..(Quran)



9)Muskhil mai bhi Sirf allah se madad maagna cahiye Aur mushkil k baad 

bhi Sirf Allah ko pukarna cahihe :- Jab woh kashti mai sawaar hote hai to 


apne deen ko khalis krr k sirf Allah ko pukarte hai lyken jab woh nijaat de 


kar khushki par utaar deta hai to woh phir shirk krne lgte hai..(Quran)




10)Aulaad dena Allah k haath mai hai :- Zameen Aur Aaasmaan ki 

badshahi  Allah hee k lia hai woh jo cahata hai paida krta hai,jisse cahe 


betiya ata krta  hai aur jisse cahe beta ata krta hai Aur jisse cahe 


dono(lrke,lrkiya) ata krta  hai,Aur jisse cahe be aulaad rkhta hai,be shakk 


woh jaanne wala aur Qudrat  wala hai..(Quran)
Qabar azaab  Hazrat Samura Bin Zundub (RaziALLAH Anhu) farmate hain ki RasulALLAH (Sal’lal’lahu Alaihe Wasallam) aksar apne sahaba se pucha karte the ki tum main se kisi ne khuwaab dekha hai ?

Jo koi khuwaab bayaan karta (to aap uski taabeer irshaad farmate).
Ek subha RasulALLAH (Sal’lal’lahu Alaihe Wasallam) ne irshaad farmaya : Raat ko maine khuwaab dekha ki do farishte mere paas aaye aur mujhe uthakar kaha, Humare saath chaliye. Main unke saath chal diya. Ek shakhs par humara guzar hua jo leta hua hai aur dusra uske paas pathar uthaye huye khada hai aur weh lete huye shakhs k sar par zor se pat’thar maarta hai jiski wajah se uska sar kuchal jata hai aur pat’thar ludak kar dusri taraf chala jata hai. Yeh jaakar pat’thar uthakar lata hai, Uske waapas aane se pehle uska sar bilkul sahi jaise pehle tha waisa hi ho jata hai. Phir yeh usi tarah pat’thar maarta hai aur wahi kuch hota hai jo pehle hua tha. Maine un dono se ta’ajjub se kaha “SUBHANALLAH” ye dono shakhs kaun hain ? (Aur ye kya maamla ho raha hai ?) Unhone kaha aage chaliye. 

Hum aage chale humara guzar ek shakhs par hua jo chit leta hua hai aur ek shakhs uske paas zambur (lohe ki keele nikalne wala auzaar) liye khada hai, Jo lete huye shakhs k chehre k ek jaanib aakar uska jabda, nathuna aur aankh guddi tak chirta chala jata hai. Phir dusri jaanib bhi usi tarah karta hai. Abhi yeh dusri jaanib se faarig nahin hota ki pehli jaanib bilkul achi ho jati hai, weh usi tarah karta rehta hai.
Maine un dono se kaha “SUBHANALLAH” ye dono kaun hain ? Unhone kaha chaliye aage chaliye.

Hum aage chale to ek tannur k paas pahunche jisme bada shor wa gul ho raha hai, Humne usme jhaank kar dekha to bahut se mard wa auraten nange hain, Unke niche se aag ka ek shola aata hai, jab weh usko apni lapat main leta hai to we cheekne lagte hain.
Maine un dono (Fariston) se pucha, ye kaun log hain ? Unhone kaha chaliye aage chaliye.


Hum aage chale ek nehar par pahunche jo khoon ki tarah surkh thi aur usme ek shakhs tair raha tha aur nehar k kinare dusra shakhs tha, Jisne bahut se pat’thar jama kar rakhe the, Jab tairne wala shakhs tairte huye us shakhs k paas aata hai jisne pat’thar jama kiye huye hain, to yeh shakhs apna moonh khol deta hai to kinare wala shakhs uske munh main pat’thar daal deta hai (jiski wajah se weh door) chala jata hai aur phir tair kar waapis usi shakhs k paas aata hai to apna munh khol deta hai aur kinare wala shakhs uske munh main pat’thar daal deta hai.
Maine un dono se pucha Yeh dono shakhs kaun hain ? Un dono (Farishton) ne kaha aage chaliye.


Phir hum aage chale to jitney badsurat aadmi tumne dekhe honge un sab se zyada badsurat aadami k paas se hum guzre, uske paas aag jal rahi thi jisko weh bhadka raha tha aur uske charo taraf daud raha tha.
Maine unse pucha ye shakhs kaun hai ? Unhone kaha aage chaliye.
Phir hum ek aise bag main pahunche jo hara-bhara tha aur usme mousam-e-bahaar k tamaam phool the. Us bag k darmiyaan ek bahut lambe saahab nazar aaye, Unke bahut zyada lambe hone ki wajah se mere liye unke sar ko dekhna mushkil tha, Unke charo taraf bahut saare bachche the. Itne zyada bache maine kabhi nahin dekhe, Maine pucha, Yeh kaun hain ? Aur ye bachche kaun hain ? Unhone mujhse kaha aage chaliye aage chaliye.


Phir hum aage chale aur ek bade bag main pahunche, Maine itna bada khubsurat bag kabhi nahin dekha, unhone mujhse kaha iske upar chadiye, Hum us par chade aur aise shahar k qareeb pahunche jo is tarah bana hua tha ki uski ek eent sone ki thi aur ek eent chandi ki thi, Hum shahar k darwaze k paas pahunche aur use khulwaya, Weh humare liye khol diya gaya, Hum usme aise logo se mile jin k jism ka aadha hissa itna khubsurat tha ki tumne itna khubsurat na dekha hoga aur aadha hissa itna badsurat tha ki itna badsurat tumne na dekha hoga. Un dono farishton ne un logon se kaha ki jao us nahar main kood jao, Maine dekha saamne ek chaudi nahar beh rahi hai jiska paani doodh jaisa safed hai, ve log usme kud gaye phir jab weh humare paas waapas aaye to unki bad-surati khatam ho chuki thi aur weh bahut khubsurat ho chuke the.

Dono fariston ne mujhse kaha “Yeh jannate ADN hai aur yeh aapka ghar hai, Meri nazar upar uthi to maine safed baadal ki tarah ek mehal dekha unhone kaha yahi aapka ghar hai. Maine unse kaha “BARAKALLAH FIKUMA” (ALLAH TA ALA tum dono main barkat de) mujhe chhodo main andar jaoon.
Unhone kaha, Abhi nahin lekin baad main tashreef le jayenge,
Maine unse pucha aaj raat maine ajib chizen dekhi ye kya hain ?


Unohne mujhse kaha : Ab hum aapko batate hain.
Pehla shakhs jiske paas se aap guzre aur uska sar pat’thar se kuchla ja raha tha yeh weh hai jo Quraan sikhta hai aur usko chhod deta hai (Na parta hai, Na amal karta hai) aur farz namaaz chhor kar sota hai.

(Dusra) weh shakhs jiske paas se aap guzre aur uske jabde, Nathune aura ankh ko guddi tak chira jar aha tha, Yeh weh hai jo subha ghar se nikalkar jhoot bolta hai aur weh jhut duniya main fail jata hai.

(Tisre) we nange mard aur auraten, Jinhe aapne tannoor main jalte huye dekha tha Zinakaar mard aur auraten hain.

(chauthe) weh shakhs jiske paas aap guzre jo nehar main tair raha tha uske moonh main pat’thar dala ja raha tha soodkhor tha.

(paanchwa) weh badsurat aadmi jiske paas se aap guzre jo aag jala raha tha aur uske charo taraf daud raha tha jahannam ka daroga tha jiska naam maalik hai.

(Chhathe) Weh sahib jo bag main the, Hazrat Ibraheem (Alaihis Salam) hain aur we bachche jo unke chaaro taraf the, Ye weh hain jo bachpan hi main fitrat (islaam) par mar gaye.

Us par kisi sahabi ne pucha. Ya RasulALLAH (Sal’lal’lahu Alaihe Wasallam)! Mushrikeen k bachcho ka kya hoga ?
Aap (Sal’lal’lahu Alaihe Wasallam) ne irshaad farmaya : Mushrikeen k bachche bhi (Wahin) the.
Aur weh log jinka aadha jism khubsurat aur aadha jism badsurat tha, ye weh log the jinhone achche amal k saath bure amal kiye, ALLAH TA ALA ne unke gunaah maaf kar diye.{Bukhari : 7047}