Saturday, 4 January 2014

Series of Hadith Part 1

1)

Ibn Abbas radi allaho anhuma se rivayat hai ki ek shaksh maidan Arafat mein tha ki apni 

sawari se gir parha aur mar gaya (ya sawari ne unhey kuchal diya ) Nabee Sallallaho  

alaihey wasallam ne farmaya pani aur beri ke patton se usey ghusal do aur Do kapdo mein 

unhey kafan do aur farmaya ki inhey khushbu na lagao aur na inka sir chupao kyunki ye  

Qayamat ke  din Labbaik kahta hua utheyga.

{Sahih Bukhari, Vol 2, 1265}
2) Hazrat Abu Hurairah (RadiALLAHU Anhu) RasulALLAH (Sallallahu 

Alaihe Wasallam) se riwayat karte hain ki Aap ne irshaad farmaya : Agar 

MOMIN ko us sazaa ka sahi ilm ho jaye jo ALLAH TAALA k yahan Na-farmaano 

k liye hai, to uski jannat ki koi ummeed na rakhe, Aur agar   kaafir ko ALLAH 

TA ALA ki rehmat ka sahi ilm ho jaaye, Jo ALLAH TA ALA k yahan hai, to uski 

jannat se koi na- ummeed na ho. 

{Muslim : 6979}

3)Hazrat Samura b. Jundub Razi Allahu Anhu se riwayat hai k RasoolAllah 

Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Allah k Nazdeek sab se zyada Mahboob 

Kalimat chaar    (4) hain: Subhan Allah (Allah paak hai), Al-Hamdulillah 

(Tareef sirf Allah k liye hai), La ilaha illa- Allah (Allah k Siwa koi Ma’bood 

Nahi), Allahu Akbar (Allah sab se Bada hai), Aap in mein se jis se bhi Aagaz 

karlen koi harj Nahi. 
   
   [Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Hadith 5601]


4) "Jo Apnay Bhai Ki Gair Mowjoodgi Mein Uskay Liye Dua Maangta Hy Wo 

Qabool Hoti Hay Aur Uskay Kareeb Aik Farishtah Khara Hota Hay Jo Kehta Hy 

"Aay ALLAH! Usko Bhi Wo Ataa Kar Jo Yeh Apnay Bhai Ky Liye Maang Raha 

Hay.

"(Sahih Muslim: 2733)


5) Hazrat Umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki Nabee Sallallahu Alaihi 

wasallam ne farmaya mujhe mere martabey se jiyada na badao jaisey Esa ibn 

mariyam Alaihi salam ko nasara (Christian) ne inkey martabey se jiyada bada 

diya hai main to sirf Allah ka banda hun isliye yahi kaha karo ki Main Allah ka 

banda hun aur uska Rasool hun.

Sahih Bukhari, 3445


6)Hazrat Jabir(razi Allahu anhu) se rewayat hai ke Rasullah sallallahu Alyhi 

wassallam ka guzar bakri ke ek boche (yani bin kaan wale ya chhote kan 

wale) murda bachche per hua,jo raaste me mara pada tha.us waqt 

Aap(sallallahu Alyhi wassallam) ke saath jo log the unse Aap ne farmaya - '' 

Tum me se koi is mare hue bachche ko sirf ek Dirham me kharidna pasand 

karega? unhone arz kiya hum to ise kisi kimat per bhi kharidna pasand nahi 

karenge. Aap (sallallahu Alyhi wassallam) ne farmaya '' Qasam hai Khuda ki 

ke duniya Allah ki nazar me isse zyada zaleel or beqeemat hai jitna zaleel or 

beqeemat tumhare nazdeek ye murdaar bachcha hai'' 

[Muslim]


7)Qatadah bin nu'maan se rewayat hai ke Rasulah Sallallahu Alyhi 

wassallam ne farmaya '' Jab Allah ta'ala kisi bandah se muhabbat karta hai to 

duniya se isko is tarah parhez karata hai jis tarah ke tum me se koi apne 

mareez ko paani se parhez karata hai(jabke usko paani se nuksaan pahuchta 

ho) ''

[Tirmizi]


8) Hazrat Abdullah bin umar (Razi Allahu anhu) se rewayat hai ke Rasullah 

Sallallahu Alyhi wassallam ne mere dono mondhey (shoulder) pakad ke 

mujhse irshaad farmaya - ''Duniya me aise rah jaise ke tu pardesi hai,ya 

raasta chalta musafir ''

[Sahih bukhari]


9)Hazrat abu huraira r.a se riwayat hai rasool lullah sallau aly wasallam ne 

farmaya Mere misaal us shaksh ki si hai jisne aag jalai ' jub us ke gird roshni 

hoi to us me kide our ye janwar jo aag me hai girne lage our wo shaksh

unko rokne 
laga lekin wo na roke usme girne lage_ YE MISAL HAI MERI OUR 

TUMHARI 'Me tumhari kamar pakad kar jahnnam se rokta hu our kahta hu 

jahnnam k pas se chale aau our tum nahi mante usi me guse jate ho'

(sahi muslim jild 6 hadis num:5957~5955~5958)

Dusre Alfaaz mai  Jaise kisi ne aag jalai phir usme kide our patange girne 

lage our me  pakde hue hu tumhari kamro ko our tum betal andha dhan usme 

gir padte ho)  ~muslim 5955~

No comments:

Post a Comment